Kalyug | Muskanpreet Aulakh

THE FOLLOWING POEM WAS SELECTED IN WINGWORD POETRY PRIZE 2023 LONGLIST.

Gunah ki patri par sabhi chal rahe hain

Naye halato ke nayepan mai sabhi dhal rahe hain.

Insaf nahi mang pate to nainsafi ki jati hai

Yaha greebo ko bewajah saza di jati hai.

Khuda ko bhool bethe hain sab

Khud ko khuda mante hain.

Kehte firte hain hame sab pta hai

Koi pucho inse akhir ye kya jante hain.

Tumhe uski shakti ka anuman hi kaha

Vo sansar ki bate bata gaye

Tumhe uske ilawa kuch pata hi kaha.

Usse ucha uthne ki bate karte ho

Uske bina yeh jahan, asman, ek shavas bhi kaha.

Puri srishti ka srijan vo kar gaye

Badle mai kuch manga nhi

Tujhe sahi rah dikhaya hamesha

Teri galtiyo par bhi tujhe danta nhi.

Tu kehta hai itno mai bhool gya vo mujhe

Magar vo to sabka khayal rakhta hai

Kabhi akele reh jao to jana uske dar pe

Tujhe tujhse bhi zyada vo pyar karta hai.

Uske diye tohfe to sambhale nhi ja rahe

Moh maya mai faskar sab reh gaye

Inhe ab tak samajh nahi aya

"God is one" har dharm ke guru keh gaye.

Usse pana chahte ho to pyar rakhna hoga dil mai

Par pyar ke to sabhi dushman bane bethe hain

Yeh kya jane pyar kya hai

Yeh to bazaro mai bikne wale ko pyar kehte hain.

Is kalyug mai rishte bhula diye sabne

Ma bap ko dhakke mare jate hain

Khuda se bat to bas kuch hi log karte hain

Beshak mandir masjido mai to sare jate hain.

Izzat to bas paise ki hoti hai

Use sabse upar ka darza mila hai

Jo bach gaye is lalach se

Bas unhi ko khuda mila hai.