TALAASH
Tapte sehra me Ghar banakar Chao talaash ki ,
Hamne apne katil me mohabbat talaash ki ;
Saya sa Mera bankar tufaan sa chala Gaya,
Hamne charag-e-aas se fir uski talaash ki ;
Ruswa-e-zamana hokar tanha de ho gaye ,
Hamne fir iss Kalam me duniya ki talaash ki;
Pyaase ki jaam-e-ishq pilakar ehsas-e-gum Kara Diya ,
Hamne zamane me fir uss pyaase ki talaash ki;
Mohabbat ne jab sila Diya to anjaam kuch Yun hua ,
K hamne apne jism me fir rooh ki talaash ki ;
Anjaam-e-ishq se jab zamana rubaru hua ,
Hamne kya kafir ne bhi fir khuda ki talaash ki;
Madawa iss dard ka kisi k pass nhi,
Hamne fir thak haar kar maut ki talaash ki ;
Zamane ne jab ye paya mohabbat kuch to hai,
Hamne khushiyo me baith kar fir gum ki talaash ki;
Duniya baaki na raha jab koi wafadar,
Hamne khawabo me fir hamsafar ki talaash ki.....