ishq kya hai?
kya yeh mehez unn teen shabdon ka silsila hai?
ya hai kuch ussey zyada ya kam?
Ishq ka suna hai darya bhi hai, Aur dubney wala aashiq hota hai.
Agar mein kahun yeh sab mehez baatein hain, kya tum manogey?
Agar mein kahun aaj mei apna matlab samjhana chahu tumhein, kya tum sunna chahogey?
mera ishq!
mera ishq, na toh ek darya hai!
Na hi unn teen shabdon se bataya ja sakta hai.
Mera ishq toh tum ho.
Na shabdon mei bayan ho, Na soch se bahar nikala ja sake.
Tumhara hasna-muskurana, iss kadar mujhe chu kar chale jana,
Jaise mere andar ke taaron mei, hulchul si kar deta hai.
Mera Ishq!
Mera ishq uss panney ki tarah hai, jisey kholkar sunghaa jata hai.
Mera ishq uss kagaz par siyahi se likhe unn aksharon jaisa hai, jinhe mita toh sakte ho par uss kagaz par chaap sa reh hi jata hai.
Mita doge, dunia ko nahi dikhega,
tum janogey-mei janungi, aatma se kaise nikaal paoge, Mera ishq!
Mera Ishq shuru tumhare hothon se hai mere maathe par, khatam tumhari baahon mei hi hai.
Na yeh tum mujhse le paaogey, na hi tum khudse bhula paogey.
Mohabbat hai yeh mehez ek aam insaan ki, isko tum apne andar se kaise nikaal paoge?