Chhorh Diya Hai | Parul Doonga

THE FOLLOWING POEM WAS SELECTED IN WINGWORD POETRY PRIZE 2023 LONGLIST.

Khwahishon ne ab

phusphusana chhorh diya hai

Haan maine bhi

gungunana chhorh diya hai

Chalte chalte ye aa gaye kahan

Ke maazi ne bhi

ab mujhe bulana chhorh diya hai

Bachpane ne ab

ladkhadana chhorh diya hai

Choodiyon ne bhi

khankhana choorh diya hai

Kaun apna kaun anjana

kya maloom

Chidiya ne jabse

aashiyana chhorh diya hai

Nazron ne ab

khilkhilana chhorh diya hai

Isharon ne bhi

hichkichana chhorh diya hai

Jazbaat ne jabse pehena zaroorat ka libas

khwabon ne bhi

aana jaana chhorh diya hai

Umra ke bojh ka ehsaas kuch yun hua

Ki ummedon ne bhi

khatkhatana chhorh diya

Jali bujhi si tamannaon se ja ke keh do

Ki ab humne bhi

maatam manana chhorh diya hai