Kuch baatein hain ankahi , kahi nahi jaati hain
Dil ke jazbaaton mai khoyi si reh jaati hain
Aaj dil ki hai khwaish ki sunadu wo saari baatein
Jo khamosh hokar bhi chupke se sab kuch keh jaati hain
Soch rahi thi kaise kahoon wo saari baatein jo dil mai chippi hai
Kaise likhun wo saari yaadein jo aankhon mai basi hai
Kya likhun kalam se jo bata sake aapko
Ki aapki khushi kis tarike se hum se judi hai
Likhna to bahut chahti hun, kehna bhi bahut chahti hun
Kalam se kaagaz ko dil ka aaina hee bana dena chahti hun
Par kya likhun, kaise likhun, in sawalon ne mana rakha tha sanaata
Tabhi maine aankhein band kari aur mujhe mil gaya jawab aur wo shabd tha PAPA
Paida hone par jisne aankhon se pyaar jataaya
Jiski godd mai puri zindagi ka sukoon humne paaya
Papa wo hain jinhone hume ye jataaya
Ki chaahe kitni bhi dhoop ho wo humesha banke rahenge humari chaaya
Ungli pakadke chalna sikhaya
Bachpan ko rangeen sitaron se sajaya
Rangon ke baazigar hain papa
Jinhone apne kaale safed rang se hume indradhanush ka ehsaas karaaya
Din raat mehnat karke khushiyaan ghar laatein hain
Takleefon mai doobkar bhi takleef ka ehsaas na karaate hain
Kaise hain ye papa humare, samjhana thoda mushkil hai
Jo chup chap rehkar humari saari khwaishein puri kar jaate hain
Khatta meetha swabhav hai inka
Kabhi gussa to kabhi pyaar hai inka
Agar karein gussa kabhi, to pareshan ho jaatein hain
Kaise manaoon yehi sochte reh jaatein hain
Par kaise bataye papa apko
Aapke gusse mai chippa pyaar dikh jaata hai humko
Hum kafi baatein keh nahi paate hain
Pyaar karke bhi jata nahi paate hain
Par ye khamoshi bhi wo goonj hai papa
Jo khamoshi se dil ko pyaar ka ehsaas kara jaati hai
Takleef hume ho to dukh aapko hota hai
Khushi hume ho to haste aap ho
Pareshani aati hai to na bataakar bhi pata chal jaata hai aapko
Pata nahi papa samajh nahi aata
Ki aapke dil ka wifi connection sab kuch kaise samajh pata
Par hume pata hai papa ki humare sapne aapne dekhe hain
Humari khwaishein puri karna khwaish hai aapki
Apna mann marke humare bare mai sochna zaroorat hai aapki
Par vaada hai aaj aapse papa
Ki aapki tarah aapki khushi aur sapne honge humari zimedaari
Bahut kuch kehna chahti thi, ankahi baatein sunana chahti thi
Dil ka samundar baha diya, lehron ko kinara dilana chahti thi
Bahut kuch kehna tha par kalam ruk gayi
Kyuki aap kitne zaroori ho ye ehsaas shabdon se nahi balki dil se dil tak pahuchana chahti thi .....