Ek insaan Khuda se gila karta hua....(Drug Addict)
Gamo me itna dooba hun,
Pareshaniyon me itna ghira hun,
Nashe ko apna khuda banakar,
Dusre azaabo ko bula baitha hun.
Haq nahi hai, teri rahmato se mili zindagi ko tabah karne ka,
Par ab wapsi ke raste band hai,
To bebas hokar maut ke kafan ko odh kar leta hun.
Kahaan tha tu pehle,
Jo kabhi dikhayi nahi diya,
Khuda ho kar bhi,
Apni nazre churata raha.
Akela chod rakha tha zaleemo ke beech,
Kya tujhe kabhi mera khayal naa tha?
Ab mat kehna, kyun kiya apne sath aisa,
Tu to kabhi mere par meherbaan hi naa tha.
Khuda ka jawab:
Gam aur pareshaniyan di thi maine, maanta hoon,
Par kaash tu inko jhel pata,
Fida ho jata tujh par mein,
Agar tu azaabo ko khatam kar pata.
Haq shayad tha tujhe apni zindagi se khelne ka,
Phir bhi ek baar, waapsi ke raste par mera naam lekar to aata,
Namumkin bhi mumkin ho jata, mujh par yakeen rakh kar to aata.
Nazre kaise chura sakta tha tujhse, karta aisa to khuda na reh jata.
Tera khayal na rakhkar, Khud ko kabhi maaf na kar pata.
Kabhi nahi sawal karunga, Ki kyun kiya tune aisa,
Par puchunga sirf itna,
Ki apno ko kyun duniya me akela chod aaya,
Apni sari jimmedariyan kaise bhula aaya.