Shabaash | Ankita Tewari

This poem intends to signify importance of word " Shabaash" for any individual.How just one shabaash can motivate any performer and increases his/ her capabilities with leaps and bounds.

" Shabaash"

"Mana ki hazaar khamiyan hongi mere kaam mai,

par tum un khamiyon ko nazar andaaz kar detey ,

aur bas ek baar 'Shabaash 'keh detey.

Mai talaab se nadi ban jaati ,

agar tum meri kabiliyat par vishwas rakh letey,

aur bas ek baar 'Shabaash' keh detey.

Mere prayason ko na dhikkaar kar, tum apney udaar honey ka parichay de detey,

aur bas ek baar 'Shabaash' keh detey.

Mai aasmaan mai bina pankh udaan bhar leti,

Sumeru parvat tumhare charano mai arpit kar deti,

samudra mai mishri ghol deti,

Mrit shareer mai dam bhar deti,

Yadi tum mujhe todi si izzat se Nawaz detey,

aur bas ek baar khuley mann se 'Shabaash' keh detey , 'Shabaash' keh detey."

In case we don't get 'Shabaash' from anyone or anywhere else in such a scenario we need to self motivate ourself instead of getting depressed or demotivated.

" Zindagi mai aagey badhna mainey seekh liya hai,

Khud ko naseehatein de k mainey chalna seekh liya hai,

Ab toh kaal bhi mujhse katrata hai,

mere adamya sahas se yum bhi ghabrata hai,

Mujhko mujh mai he ugta hua Suraj nazar ata hai,

Isne mere andar k andhkaar ko mita diya hai,

Aur khud se he khud ko 'Shabaash' kehna sekha diya hai,

'Shabaash' kehna sekha diya hai."

Dhanyawad