Kyu zamane ke sau rang hote hain ya rab
Kyu zamane ka ek rang hota nhi ya rab
Bara mushkil hai ab is behr e zulmat me jeena
Bara mushkil hai ab is daara e ujlat me marna
Yahan sau log Hain sau andaaz e adaa wale
Phir us andaaz ke sau rang aur shauq niraale
Jise samjho ki ye to hai tasweer wafa ki
Wo zara der me ban jaata hai kahani si dagha ki
Yahan chalakiyon ko hasil hai ek azeem sa rutba
Yahan maasoomiyat ki kab koi qadr samajhta
Hai munafiqat har cheez har shai pe ghaalib
Or zamana bhi to har dam inhi logo ka hai taalib
Koi khaamosh hai gar toofan e dil ki badolat
Kehte hain usse log ye dikhawe ki hai aadat
Hairan hu mai ye dekhkar, ke apne bhi yahan par
Ghair hone me wo taakheer karte nhi aksar
Kaash! Aa jaye koi aesa bhi is jahan me
Jo dhare kaan mere is andaaz e bayan me
Magar afsos ki aaya nahi koi aesa bashar
Jo karde is zamane ke in haalat ko behtar
Ae khudaya! Meri tujhse ye Tamanna hai bari
Ke mera lab ye Mera dil bass Tera hi ho har ghari.