Meri mano to tum bhi maan lo,
Jo maine aaj hai maan lia.
Ki Jaadu jesi koii cheez nahi,
Or jo hai toh ,,Tum me bhi h.
Maan lo aaj, ki jo kaam krne se
Tum ab tak katraate aae ho,
Ho na ho ,, wo tumhe hi hai krna
Tumse behtar kisi se na hona.
Himmat haar jo tum baithe ho ek paar
Yaad dilaa du ,manjil ab jyada door nai
To uth fir or daud lga ,, bharosha rakh
Naav utha or manjhdhaar ban..
Maan le ab, jo maine hai maan lia,
Kuch kaam tujse hi hai hone ,
Rakh himmat , koshish kar aur mehnat kar
Door nai hai ab manjil jara kadam to bdha
Faasle door ho skte hai , par
Mann hi mann me use chahne ki
Lalak jo hai ,,use mat mitaa..
Darr mat ,, use bdh jane de ....
Aaega wo din bhi jab kaamyabi tere kadam chumegi
Tb kismat bhi saath hogi or tarraki bhi
Bs bhool mt jana ki ye mehnat se mila hai
Ye us jaadu se mila h jo khud tere andar hai
Bs phir maan lena jo
maine h aj maan lia
Ki jaadu jesi koii cheez nai
Joh hai to wo tere andar bhi h
Tere andar bhi h …
(Real magic is inside you )