Phir Wahi | Simran Goyal

Uss mauhalle ki gaalio mai

Udhr ke shor mai,

Phir kadam rkhaa hai humne

Kuch arso mai

Unn hawao mai phir

,Wahi ehsas

Unn gaalio ke kone kone m teri Phir Wahi aawaz gunji hai,

Unn diwaro m likhi gyi yaaadon se phir Wahi muskurahat aayi hai,

Tere ghar ke saamne niklne se phir Wahi bechani si chayi hai,

Phirse kuch khamooshiya aayi saamne,

Mudhkr dekha peeche humne

Phir Wahi teri dhundli si jhalak paayi hai

Dil ne phir dhadkte hue kha khudse

Mohabbat toh hai wahi purani si hai

Ehsas aj kuch phir hua hai......

Phir bhi chalege hum aaage

Khudhko na rokege phirse peeche

Aankien band kre,

dil paar haath yu rakhe,

chldiye kuch kaadam hum phir aage,

Phir thode kadam kya thhere humare ,

Dil beechara phir peeche wahi choot gya!

Kuch kadam thoda phir peeche lete hai,

Dil ko kisi aur ke dil m phir wahi jagha dete hai!